khayal-o-khwab ko parwaz deta rahta hun main apne aap ko aawaz deta rahta hun jo un ko rakhega duniya mein surkh-ru kar ke main apne bachchon ko wo raaz deta rahta hun main chhedta hun sada shairi ke taron ko aur apne fan se koi saz deta rahta hun palat ke aaenge ek din zarur achchhe din main apne taur to aawaz deta rahta hun jhula ke haal ko aksar zaban ke jhule mein gham-e-jahan ko mein andaz deta rahta hun laga ke sine se 'fayyaz' us ke paikar ko ghazal ko har ghadi eazaz deta rahta hun