jari to ho sab ke liye farman-e-mohabbat kar dijiye dil se zara ailan-e-mohabbat is shakhs ko dukh-dard satata bhi nahin hai jis dil mein raha karta hai iman-e-mohabbat aankhon se badan se teri zulfon ki mahak se karta hun main din-raat hi ai jaan-e-mohabbat kya kijiye mera na hua jis ke liye main karta raha har mod pe saman-e-mohabbat kuchh bhi nahin behtar hai zamane mein kahin par duniya mein nahin kuchh bhi hai shayan-e-mohabbat mushkil hain bahut raste nafrat ke ai bhai hum sab ke liye sab se hai aasan mohabbat un ke liye duniya bhi wasia hoti hai 'fayyaz' hota hai wasia jin ka bhi daman-e-mohabbat