khayal-o-khwab mein aae hue se lagte hain hamein ye din bhi bitae hue se lagte hain tere huzur khade hain jo sar jhukae hue zamin ka bojh uthae hue se lagte hain diye hon phul hon baadal hon ya parinde hon ye sab hawa ke satae hue se lagte hain hamare dil ki tarah shahr ke ye raste bhi hazar bhed chhupae hue se lagte hain har ek rah-naward o shikasta-pa ke liye ye ped hath badhae hue se lagte hain har aan runuma hote ye waqiye ghaer hamara dhyan batae hue se lagte hain