qulzum-e-ulfat mein wo tufan ka aalam hua jo safina dil ka tha darham hua barham hua thamna mushkil dil-e-muztar ko sham-e-gham hua yaad aate hi kisi ki hashr ka aalam hua kya bataen kis tarah guzri shab-e-wada meri muntazir aankhen rahin dil ka ajab aalam hua dekhte rahte hain is mein sare aalam ka zuhur aaina dil ka hamare rashk-e-jam-e-jam hua wo adu ko sath lae hain mere ghar dekhiye sharbat-e-didar ke nuskhe mein dakhil sam hua aap ke tir-e-nazar se dil ka bachna hai muhaal jis ko dekha aankh bhar kar bas wahi hamdam hua kis qadar taskin ranjur-e-mohabbat ko hui pyar se dekha jo us ne zakhm ko marham hua jab uthaya yar ne ru-e-munawwar se naqab gir pada ghash kha ke koi aur koi be-dam hua gulshan-e-hasti mein insan ki nahin kuchh zindagi jo hua paida misal-e-qatra-e-shabnam hua gesu-e-pur-kham hue un ke pareshan sog mein mere marne se dayar-e-husn mein matam hua baad marne ke hua duniya mein yun mashhur 'naz' shan se tabut uttha dhum ka matam hua