khayal-o-khwab mein diwar-o-dar bhi sath rakkho musafirat mein raho aur ghar bhi sath rakho ajab nahin ki shahadat talab kare manzil karo padaw to gard-e-safar bhi sath rakho zar-o-guhar se bhi banti hain qamaten lekin koi saliqa-e-arz-e-hunar bhi sath rakho hum aise log pas-e-guftugu bhi jaante hain hamein milo to khulus-e-nazar bhi sath rakho kuchh is liye bhi wo sailab bhej deta hai ki bastiyon mein raho aur khandar bhi sath rakho kadi hai dhup to khwabon mein hi sahi 'razmi' hari ruton ke ghanere shajar bhi sath rakho