khayal usi ki taraf bar bar jata hai mere safar ki thakan kaun utar jata hai ye us ka apna tariqa hai dan karne ka wo jis se shart lagata hai haar jata hai ye khel meri samajh mein kabhi nahin aaya main jit jata hun bazi wo mar jata hai main apni nind dawaon se qarz leta hun ye qarz khwab mein koi utar jata hai nasha bhi hota hai halka sa zahar mein shamil wo jab bhi milta hai ek dank mar jata hai main sab ke waste karta hun kuchh na kuchh 'nazmi' jahan jahan bhi mera ikhtiyar jata hai