kahan jaen chhod ke hum use koi aur us ke siwa bhi hai wahi dard-e-dil bhi hai dosto wahi dard-e-dil ki dawa bhi hai meri kashti lakh bhanwar mein hai na karunga main teri minnaten ye pata nahin tujhe nakhuda mere sath mera khuda bhi hai ye ada bhi us ki ajib hai ki badha ke hausla-e-nazar mujhe izn-e-did diya bhi hai mere dekhne pe khafa bhi hai meri samt mahfil-e-ghair mein wo ada-e-naz se dekhna jo khata-e-ishq ki hai saza to meri wafa ka sila bhi hai jo hujum-e-gham se hai aankh nam to labon pe nale hain dam-ba-dam use kis tarah se chhupaen hum kahin raaz-e-ishq chhupa bhi hai ye baja ki 'akhtar'-e-muslimi hai zamane bhar se bura magar use dekhiye jo khulus se to bhalon mein ek bhala bhi hai