khayal wo bhi mere zehn ke makan mein tha jo aaj tak na makin-e-guman ke dhyan mein tha wo dekhta raha hasrat se aasman ki taraf chhupa hua wo parinda jo saeban mein tha zamin pe koi samaat thi muntazir meri sada ki shakl muallaq main aasman mein tha mera nasib to khushiyon ki bhid mein aksar charagh ki tarah raushan kisi dukan mein tha kabhi mujhe bhi to karna padega samjhauta bahut dinon se ye khadsha mere guman mein tha tere sawal ka kaise jawab deta main ki jab main khoya hua fikr ki udan mein tha wahi to aag lagata phira gulistan mein jo 'ahsan' ahl-e-chaman mein na baghban mein tha