wo to mujh mein hi nihan tha mujhe malum na tha khun ban kar wo rawan tha mujhe malum na tha itne majruh the jazbaat hamare jis par charkh bhi mahw-e-fughan tha mujhe malum na tha pyas shiddat ki thi sahra bhi tadap jata tha imtihan sar pe jawan tha mujhe malum na tha pair to pair yahan ruh ke chhaale nikle dur itna bhi makan tha mujhe malum na tha dil bhi hota hai suna karte the har sine mein dard bhi us mein nihan tha mujhe malum na tha ishq ke bahr mein ghota to lagaya lekin baad mein us ke kahan tha mujhe malum na tha fitna-gar lutne wala sar-e-bazar yahan itna shirin-zaban tha mujhe malum na tha husn-e-ulfat ko samae hue sine mein 'nisar' dil mein ek dard jawan tha mujhe malum na tha