KHayalistan-e-hasti mein agar gham hai KHushi bhi hai

khayalistan-e-hasti mein agar gham hai khushi bhi hai
kabhi aankhon mein aansu hain kabhi lab par hansi bhi hai

inhi gham ki ghataon se khushi ka chand niklega
andheri raat ke parde mein din ki raushni bhi hai

yunhi takmil hogi hashr tak taswir-e-hasti ki
har ek takmil aakhir mein payam-e-nesti bhi hai

ye wo saghar hai sahba-e-khudi se pur nahin hota
hamare jam-e-hasti mein sarishk-e-be-khudi bhi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close