sham ke aasar gile hain bahut phir meri aaankhon mein tile hain bahut tum se milne ka bahana tak nahin aur bichhad jaane ke hile hain bahut kisht-e-jaan ko khushk-sali kha gai mausamon ke rang pile hain bahut barf pighli hai faraaz-e-arsh se aasman ke rang nile hain bahut bel ki surat hain hum phaile hue hum faqiron ke wasile hain bahut main bhi apni zat mein aabaad hun mere andar bhi qabile hain bahut log basti ke bhi hain shirin-sifat mere naghme bhi rasile hain bahut 'qais' hum jogi hain apne shahr ke nag to hum ne bhi kile hain bahut