khayalon ki bulandi zat ki khai se behtar hai samundar tera sahil teri gahrai se behtar hai ye maila pairahan kirdar ki kai se behtar hai bhalai ke liye ek jhut sachchai se behtar hai mere munsif saza de ya mujhe insaf jaldi de tera har faisla barson mein sunwai se behtar hai agar manzil na mil pae to raste mein thahar jao safar mauquf karna aabla-pai se behtar hai mere har dard ko mahsus karna bantana har gham haqiqat ye hai wo mere sage bhai se behtar hai sukun milta hai duniya bhar ke jhagdon se yahan aa kar ye daftar ki imarat ghar ki angnai se behtar hai sadak par yunhi aawara bhatakna achchha lagta hai yahan jo shor hai andar ki tanhai se behtar hai meri umr-e-rawan ke sath ye bhi badhta jata hai mera beta meri aankhon ki binai se behtar hai kam-az-kam ghair ruk kar khairiyat to puchh lete hain suna hai ajnabiyyat ab shanasai se behtar hai kiya hai muntakhab beti ne jis ko tum bhi apna lo zamana kah raha hai ghar ki ruswai se behtar hai