dasht-e-junun mein aabla-pa le gaya mujhe meri mohabbaton ka sila le gaya mujhe viran is nazar ne kiya mujh ko aur phir tanhaiyon ka dasht baha le gaya mujhe yan bhi wahi zamin wahi aasman mila main sochta raha ki wo kya le gaya mujhe ek bar bhi wo mujh se mukhatab nahin hua us ke qarib ye hi gila le gaya mujhe wo kya mila na dhyan raha baadban ka girdab mein safina mera le gaya mujhe gar wo nazar-shanas nahin tha to kis tarah dekha unhen unhi ko suna le gaya mujhe kashti bhanwar mein un ki nigahon mein bebasi 'manzar' yahi to ab ke utha le gaya mujhe