KHazana lutf ka jaise nafas nafas mein tha

khazana lutf ka jaise nafas nafas mein tha
ajab surur ka aalam meri hawas mein tha

wahan bhi log ujalon pe naz karte the
har aaftab-e-jahan tirgi ke bas mein tha

phire bhi din to use pattharon ke panw mile
wo ek phul jo muddat se khar-o-khas mein tha

thakan nahin thi ye tha be-hisi ka sannata
ajib karb sa ek nala-e-jaras mein tha

sukut-e-qalb ka aakhir shikar ho hi gaya
wo ek shakhs jo ta-umr pesh-o-pas mein tha

sabhi ko tiliyan apni aziz thin 'asrar'
ki jo parind tha khud-sakhta qafas mein tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close