mera KHwab mera KHayal tu tera zikr hai meri guftugu

mera khwab mera khayal tu tera zikr hai meri guftugu
mera har nafas teri aarzu mera har qadam teri justuju

mujhe zid nahin magar aa bhi ja bada yas-o-gham ka hujum hai
tere dard ki mere zabt ki kahin lut na jae ye aabru

main malamaton ka shikar bhi mujhe kafiri ka khitab bhi
meri mai-kashi ka khumar tu meri bandagi ka shiar tu

ye kathin to hai mere dosto mujhe moajizon pe bhi hai yaqin
kabhi aae aisa bhi ek din ki use bhi ho meri justuju

nahin aql-o-faham ki dastaras hain ajib dil ke muamle
kabhi nikhaton se latif-tar kabhi rasan-o-dar se du-badu

tera rup bhi tera rang bhi tere gesuon ki mahak bhi thi
kabhi aa gaya hun jo dafatan main khud apne aap ke ru-ba-ru

yunhi ek halki si chot se wo na jaane kaise bikhar gaya
wo jo khud ko kahta tha aahani badi shoala-bar thi guftugu


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close