khel rachaya usne sara warna phir kyun hota main

khel rachaya us ne sara warna phir kyun hota main
us ne hi ye bhid lagai bana hun sirf tamasha main

us ne apne dam ko phunka aur mujhe bedar kiya
main pani tha main zarra tha lambi nind se jaga main

us ne pahle rup diya phir rang diya phir izn diya
bahr o bar mein barg o samar mein nae safar par nikla mein

aaine ki khwahish kar ke khud ko bhi aazar diye
dekh liya ab aaine mein kab hun tere jaisa main

qatl-o-ghaarat ke hangame shor-sharaba to hoga
mujh ko yahan par bhejne wale wahan na rahta achchha main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close