main kya kahun ki teri chashm-e-iltifat nahin hayat-e-shauq pe tari gham-e-hayat nahin jo dil pe guzrin mohabbat ke khas lamhon mein hudud-e-sharh-o-bayyan mein wo waqiat nahin gham-e-dawam-e-mohabbat hai tishna-e-mani fana ke baad agar manzil-e-hayat nahin tere baghair bhi ehsas-e-zist hai lekin tadap mein dard ki wo shorish-e-hayat nahin maqam-e-be-khudi ishq ai maaz-allah main us jagah hun jahan mujh ko hosh-e-zat nahin nigah-e-dost teri dil-nawaziyan malum khata muaf main khwahan-e-iltifat nahin jamal tak hi na mahdud rakh nazar 'mani' ki aashiqi ki yahi sari kaenat nahin