KHema Dale hue rahraw hai paDa ek se ek

khema dale hue rahraw hai pada ek se ek
kis takalluf ki hai duniya mein sara ek se ek

zulm hai ek se ek aur jafa ek se ek
jaan-sitan hai mere qatil ki ada ek se ek

tum agar pahno to joda hai dhara ek se ek
hai har ek ghunche ki gathri mein qaba ek se ek

hai juda sab se tariqa sitam-arai ka
nahin milti mere zalim ki jafa ek se ek

kahiye taqwa-shikan is ko to use tauba-shikan
dilruba hai teri ai shokh ada ek se ek

apna aks aaine mein dekh ke wo kahte hain
wah kya khub ye naqsha hai khicha ek se ek

tajraba hum ne kiya hai tap-e-furqat ke siwa
har maraz ki hai zamane mein dawa ek se ek

qabiliyyat bhi to ho dekhne ki aankhon ko
zer-e-aflak hai khurshid-laqa ek se ek

wah kya sanat-e-khaliq hai ye subhan-allah
apni surat mein har insan juda ek se ek

bul-hawas tab sitam ki jo na laya na sahi
sarfaroshi ko hain sau ahl-e-wafa ek se ek

mil gae khak mein sab un ke pahanne wale
dekho utri hui rakkhi hai qaba ek se ek

manzil-e-tafraqa sab kahte hain is duniya ko
ek hi ghar mein hain phir sab hain juda ek se ek

hath agar tu ne uthaya hai dua karne ko
mujh se sun mang tu ai mard-e-khuda ek se ek

ai musafir tera ji chahe jahan kar aaram
ek hi raat to basna hai sara ek se ek

ku-e-qatil mein hai khuni kafanon ka majma
aindate phirte hain kya kya shohada ek se ek

hashr ke din bhi wahi fikr hai apni apni
aise majmae mein bhi aa kar na mila ek se ek

lillah al-hamd kisi tarah main qasir hi nahin
lai mazmun meri fikr-e-rasa ek se ek

bagh-e-alam mein kisi ko na shagufta dekha
kabhi dil khol ke ghuncha na hansa ek se ek

fasl-e-gul aai to ho jaega jangal bhi chaman
bhare baithe hue hain aabla-pa ek se ek

bazm-e-duniya bhi mere dil ka namuna hai koi
mahfil-ara hai yahan mah-laqa ek se ek

mujhe us se to use mujh se pahunchti hai madad
sahab-e-fan yunhin wabasta raha ek se ek

zulf-e-mashuq jo barham hi rahe to hai maza
na mile us ka koi tar saba ek se ek

qabil-e-sair shab-e-mah mein patna ka hai chauk
apne kothon pe hain sau mah-laqa ek se ek

kisi mahjur ka kya khub hai 'akbar' ye kalam
dil ke wo harf hain wo bhi hain juda ek se ek


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close