khun ke pyase hain wahan abru-e-khamdar juda tez karti hai chhuri yan mizha-e-yar juda ai sanam bahr-e-khuda tu na ho zinhaar juda maut hi hai jo masiha se ho bimar juda rukh-e-raushan se hon kya abru-e-khamdar juda subh-e-mahshar se na hogi ye shab-e-tar juda tu kahe to abhi sar kat ke rakh dete hain hum kisi haal mein tujh se nahin ai yar juda bagh-e-alam mein kise ishq un aankhon ka nahin main hun bimar juda nargis-e-bimar juda is se kuchh khauf nahin is se hai andesha-e-marg ranjish-e-khalq juda ranjish-e-dildar juda khak bhi is se na ho is se ho mahshar barpa kabk ki chaal juda yar ki raftar juda abhi ho jae zamin ham-sar-e-charkh-e-anjum kafsh se tere sitare hon jo do-chaar juda ek din wasl hi ho jaega aashiq ka tere mujh se hota hai jo ai yar tu har bar juda ek gul bagh-e-jahan mein nahin tujh sa ba-khuda sab hasinon se rawish hai teri ai yar juda kaun si shakl hai ab zist ki meri 'akbar' sadma-e-hijr juda tana-e-aghyar juda