khema-e-jaan ki tanabon ko ukhad jaana tha hum se ek roz tera gham bhi bichhad jaana tha kaun se kaj sanwarte hain tere hone se kaun sa kaam na hone se bigad jaana tha baiat-e-ishq na ki baiat-e-shahi ke liye qasr basna the so maqtal ko ujad jaana tha sang-rezon ki kami kab thi sar-e-rah-e-visal dil-e-kam-zarf ka daman hi sikud jaana tha aur kab tak yunhi be-gaur-o-kafan rakhte unhen sard khanon mein bhi lashon ko akad jaana tha kya khabar thi zar-e-ehsas ke lutte hi 'najib' ek khala sa dar-o-diwar mein pad jaana tha