kisi ke ghar na mah o sal ke mausam mein rahte hain ki hum hijr-o-visal-e-yar ke aalam mein rahte hain wahi gul-gun qaba-e-yar hai nazzara-e-hairat usi na-mehrban ke gesu-e-pur-kham mein rahte hain wahi pyasi zamin hai halqa-e-zanjir ki surat wahi ek aasman jis ke tale shabnam mein rahte hain hamein ye rang-o-bu ki baat ab achchhi nahin lagti bura kya hai jo hum apni hi chashm-e-nam mein rahte hain guzar hi jaegi umr-e-rawan aahista aahista agarche ilm hai hum ek dam-e-be-dam mein rahte hain