kheton ke beach phul ke bistar ke aas-pas

kheton ke beach phul ke bistar ke aas-pas
mausam to aa ke baith mere ghar ke aas-pas

be-qaid-o-rang kaundti rangin machhliyan
dekhi hain main ne ganw ke pokhar ke aas-pas

ye kya hua ki aaj bahut tez dhup hai
saya mila na shakh-e-tanawar ke aas-pas

sarson ke kisht-zar mein aisa laga ki hun
fitrat ki chhint-dar si chadar ke aas-pas

mujh ko na sath-e-ab pe kuchh bhi mila 'asar'
ghota laga ke pahuncha hun gauhar ke aas-pas


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close