khidki se us sanam ka jo mukhda nazar pada taq-e-haram se jalwa khuda ka nazar pada sat aasman ki sair hai pardon mein aankh ke aankhen khulin to turfa tamasha nazar pada dekha hai aankh ne tera ji chahe puchh dekh ai dil main kya kahun mujhe kya kya nazar pada insan un ko dekh ruke kyunki aankh se hur o pari ko jin ka na saya nazar pada main mast hun 'mazaq' mai-e-intizar se saqi na mai na jam na mina nazar pada