KHushi ne mujhko Thukraya hai dard-o-gham ne pala hai

khushi ne mujh ko thukraya hai dard-o-gham ne pala hai
gulon ne be-rukhi ki hai to kanton ne sambhaala hai

mohabbat mein khayal-e-sahil-o-manzil hai nadani
jo in rahon mein lut jae wahi taqdir wala hai

jahan bhar kar mata-e-lala-o-gul bakhshne walo
hamare dil ka kanta bhi kabhi tum ne nikala hai

kinaron se mujhe ai nakhuda tum dur hi rakhna
wahan le kar chalo tufan jahan se uthne wala hai

charaghan kar ke dil bahla rahe ho kya jahan walo
andhera lakh raushan ho ujala phir ujala hai

nasheman hi ke lut jaane ka gham hota to kya gham tha
yahan to bechne walon ne gulshan bech dala hai

'ali' wo zist kya jo raat bhar mein khatm ho jae
charaghon ki hansi udti hai tadka hone wala hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close