khiDkiyan Khaali karen ye baam-o-dar Khaali karen

khidkiyan khali karen ye baam-o-dar khali karen
in hawaon se kaho ab mera ghar khali karen

ehtiyatan ye munasib hai ki is basti ko log
zalzala aa jae is se peshtar khali karen

phir wo shakhen bhi na hongi aisi rut aane ko hai
ab ye lazim hai parindon ko shajar khali karen

phir na ho jae kahin pamal taqdis-e-hunar
chahiye bas jald hi taq-e-hunar khali karen

rah-giron se hawaen kah rahi hain der se
jald jitna ho sake ye rahguzar khali karen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close