kuchh khwab se na khwab ki tabir se hua duniya ka sara kaam to tadbir se hua mansab to bas yahan pe muqaddar ki baat hai wo namwar hua hai to taqdir se hawa main bandagan-e-dahr ka kab tha bhala harif mera to sara kaam hi takhir se hua 'ghaalib' ne ye to sach hi kaha tha ki dahr mein ruswa hua jo apni hi tahrir se hua haalat ki giraft mein guzri tamam umr taham na shor kuchh meri zanjir se hua