khidkiyan kholin to mujh ko aaj andaza hua mera hi saya tha wo diwar se lipta hua aaj ki shab bhi palat aae bina dastak diye so raha tha ghar mein koi raat ka jaga hua is gali ke mod pe baitha hun kitni der se jis tarah koi musafir hun thaka-haara hua jis taraf bhi ab uda le jaen mujh ko aandhiyan ek patta hun hawa ke dosh pe rakkha hua aur bhi kuchh dur aa pahunche hum apne shahr se lag raha tha rasta jaana hua bujha hua so gaya hai mere sine se laga kar apna sar ek khilaune ke liye bachcha koi rota hua be-talluq sa pada tha mausamon ke samne sabz patta koi apni shakh se tuta hua dhund mein lipti hui thin apni tahriren sabhi padh nahin pae 'zafar' hum hath ka likkha hua