khil uthe phul mahak mujh ko hawa se aai abr ke rup mein bilqis saba se aai kan ke sath khuli aankh ki putli lekin koi taswir ubhar ke na sada se aai reg-e-sahil ki tab-o-tab ki dushman thahri lahr jo bhi pas-e-diwar-e-hawa se aai daimi kar liya us ko ki sar-e-arsa-e-shab dil ko jo saat-e-gham dene dilase aai jo tamanna kabhi aai na thi lab par 'khalid' aaj khun ho ke rahi dida-e-wa se aai