aasman uske liye aur zamin uske sath

aasman us ke liye aur zamin us ke sath
shahr ka chal diya har ek hasin us ke sath

bas yahi soch ke main bhuki rahi kitne din
hogi ek dawat-e-shiraaz kahin us ke sath

naw ko chaar taraf ghere khade the girdab
ye magar faisla mera tha nahin us ke sath

kaise main khali kara sakti thi ye dil apna
ghar ke diwar-o-dar-o-aks-o-makin us ke sath

wo jo ek pair tale shakhs hai bhuka pyasa
boriya mera laga dijo wahin us ke sath

us ki firoza-nigahi mein ajab jadu hai
rang tabdil kare chashm-e-nagin us ke sath

dur aakash pe raushan rahe husn-e-mahtab
apni 'rakhshanda' munawwar hai jabin us ke sath


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close