khilaf-e-gardish-e-mamul hona chahta hun madad kar shahr-e-na-maqbul hona chahta hun chalo apni taraf se band kar lo meri aankhen main apne aap mein mashghul hona chahta hun tere qadmon pe rakh di dekh ye dastar main ne ki apne aap se mazul hona chahta hun main rahna chahta hun tere daman se lipat kar so tere raste ki dhul hona chahta hun sada-e-lams-e-lab de bhi ki main ghuncha sukhan ka bahut din ho gae ab phul hona chahta hun tawajjoh hun magar markuz duniya par hun kab se ab aap apni taraf mabzul hona chahta hun badan ke hath ka likkha hua hun ishq-nama aur apni ruh ko mausul hona chahta hun mujhe ghar bhi chalana hai ab apna 'farhat-ehsas' to kuchh din ke liye maqul hona chahta hun