muntazir dasht-e-dil-o-jaan hai ki aahu aae sare manzar hi badal jaen agar tu aae nind aae to achanak teri aahat sun lun jag utthun to badan se teri khushbu aae be-hunar hath chamakne laga suraj ki tarah aaj hum kis se mile aaj kise chhu aae saut hi saut hai taswir hi taswir hai tu yaad teri kai baaten kai pahlu aae hum tujhe dekhte hi naqsh-ba-diwar hue ab wahi tujh se milega jise jadu aae apne hi aks ko pani mein kahan tak dekhun hijr ki sham hai koi to lab-e-ju aae kisi jaanib nazar aata nahin baadal koi aur jab sail-e-bala aae to har-su aae chahta hun ki ho parwaz sitaron se buland aur mere hisse mein tute hue bazu aae dard mein dubi hui rakh mein nahlai hui raat yun aai hai jaise koi sadhu aae rasta rok saki hain na fasilen na hisar phul jangal mein khile shahr mein khushbu aae aasmanon pe na tare hain na baadal hai na chand ab to mumkin hai kahin se koi jugnu aae waqt-e-rukhsat mere hamrah koi kab aaya aur agar laut ke aae bhi to aansu aae rog bhi tu ne lagaya hai anokha 'shahzad' ab kahan se tere is dard ka daru aae