khilqat-e-shahr to kahne ko fasane mange meri ruswai ke kya kya na bahane mange main use roz nae zakhm dikhaun phir bhi dil-e-be-mehr wahi dard purane mange ek aawara-e-manzil se mohabbat kar ke tu bade shahr mein rahne ko thikane mange yaad-e-mazi ke siwa pas mere kuchh bhi nahin tu meri jaan wo pahle se zamane mange raat-bhar jagte rahna to nasib apna tha sone wala to koi khwab suhane mange dil-e-nadan se qanaat ki tawaqqoa hai kise pa liya un ko to kya aur na jaane mange