khinch kar le jaega anjaan mahwar ki taraf hai badan ka rasta bahar se andar ki taraf wo bhi apne sans ke sailab mein hai lapata jo mujhe phaila gaya mere hi manzar ki taraf ab khalaon ko samete har taraf hon gamzan aaj hai mera safar apne hi paikar ki taraf koi to pani ki virani ko samjhega kabhi dekhta rahta hun ab main bhi samundar ki taraf zehn ki qabron mein phir se sur gunja hai 'riyaz' tangi-e-izhaar chal ek aur mahshar ki taraf