khinch laegi koi misra-e-tar aaKHir-e-kar

khinch laegi koi misra-e-tar aakhir-e-kar
zulf zanjir se nazuk hai magar aakhir-e-kar

har dorahe pe koi yar bichhad jaana hai
kaun ada karta hai tawan-e-safar aakhir-e-kar

kaun khurshid ko paltae ki jangal se idhar
morni jhad gai jhil mein par aakhir-e-kar

ud ke diwar-e-shafaq se ye parind-e-mahtab
jaane kya jhankne aaya mere ghar aakhir-e-kar

aur jahan khatm hua hai man-o-salwa ka nuzul
kaam aaya hai mera rizq-e-hunar aakhir-e-kar

sham tak ek bhi chehra na ruka mere liye
band hone laga bazar-e-nazar aakhir-e-kar

kuchh siyah-posh charaghon ka bhala kya mazkur
azhdahe kha gae mahtab-nagar aakhir-e-kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close