khunuk hawa mein badi shoala-khez khushbu hai khayal-e-yar chanbeli ki tez khushbu hai hawa ke hath na lag jae mausamon se kaho ki ek phul ka sara jahez khushbu hai chura gae hain teri ungliyon ka loch huruf ajib khat hai ajab itr-bez khushbu hai purani yaadon se sanduqcha bhara hua hai so khub ilm hai kyon zer-e-mez khushbu hai chatakh raha hai wajud aur bikhar raha hai khayal sharab bich koi shisha-rez khushbu hai