khinch lai thi mujhe khushbu hi tere pairahan ki par teri aankhon mein hai wahshat bhi aahu-e-khutan ki ishq ki aatish kahan barud ke shoale hain raqsan ab kahan wo zulf aur wo dastan dar-o-rasan ki kya hue wo din ki jab aksar mayassar thi mujhe bhi din ko zulmat zulf ki aur dhup shab ko sim-tan ki aatish-e-furqat se main shab ko ujala mangta hun ishq mein hoti nahin hai had koi diwane-pan ki raushni jis ki meri aankhon ko khira kar chuki hai rakh kar ke chhod degi ab hararat is badan ki dekh ke raste ke manzar sab ke sab the gharq-e-hairat yaad aise mein bhala aati kise apne watan ki