tum se chhut kar zindagi ka naqsh-e-pa milta nahin phir raha hun ku-ba-ku apna pata milta nahin main hun ya phirta hai koi aur mere bhes mein kis se puchhun koi surat-ashna milta nahin naqsh-e-hairat hi na tha pursan-e-haal-e-gham bhi tha tum ne jo toda hai ab wo aaina milta nahin na-umidi harf-e-tohmat hi sahi kya kijiye tum qarib aate nahin ho aur khuda milta nahin us ke dil se apna andaz-e-taghaful puchhiye jis ke dil ko dard ka bhi aasra milta nahin ek na ek rishta isi duniya se tha apna kabhi sochta hun aur koi silsila milta nahin koi sae ki tarah chalta hai 'akhtar' sath sath dostdar-e-dil hai lekin barmala milta nahin