khinchi hai tasawwur mein taswir-e-ham-aghoshi ab hosh na aane de mujh ko meri be-hoshi pa jaana hai kho jaana kho jaana hai pa jaana be-hoshi hai hushyari hushyari hai be-hoshi main saz-e-haqiqat hun dam-saz-e-haqiqat hun khamoshi hai goyai goyai hai khamoshi asrar-e-mohabbat ka izhaar hai na-mumkin tuta hai na tutega qufl-e-dar-e-khamoshi har dil mein tajalli hai un ke rukh-e-raushan ki khurshid se hasil hai zarron ko ham-aghoshi jo sunta hun sunta hun main apni khamoshi se jo kahti hai kahti hai mujh se meri khamoshi ye husn-faroshi ki dukan hai ya chilman nazzara ka nazzara ruposhi ki ruposhi yan khak ka zarra bhi laghzish se nahin khali mai-khana-e-duniya hai ya aalam-e-be-hoshi han han mere isyan ka parda nahin khulne ka han han teri rahmat ka hai kaam khata-poshi is parde mein poshida laila-e-do-alam hai be-wajh nahin 'bedam' kabe ki siyah-poshi