talkhis ke badan mein tafsir bolti hai takmil-e-arzu mein tadbir bolti hai ye moajiza bhi dekha hum ne kalam-e-fan ka chup ho agar musawwir taswir bolti hai tazin-e-anjuman ke hum ne jo khwab dekhe ab kirchiyon mein un ki tabir bolti hai wo lab-kusha ho jis dam lagta hai har kisi ko har lafz mein usi ki taqdir bolti hai banta hai muflison ka wo gham-gusar lekin andaz-e-guftugu mein jagir bolti hai jazbon pe lakh koi pabandiyan laga de izhaar mein unhi ki tasir bolti hai khamosh hain qafas ke diwar-o-dar to kya hai takra ke har qadam se zanjir bolti hai jab aagahi ka azhdar dasta hai aadmi ko mafhum nachte hain tahrir bolti hai