khirad-amoz hasti hai magar ab kya kahun wo bhi ki ban jati hai diwanon ki duniya mein junun wo bhi sawal ek be-murawwat se talab aisi ki kya kahiye hum apni zindagi se mangte hain aur sukun wo bhi buton ke sath li di si jo yaad-allah baqi hai to kya shaikh-e-haram tere liye main chhod dun wo bhi riya-kari ke sajde shaikh le baithenge masjid ko kisi din dekhna ho kar rahegi sar-nigun wo bhi dhara kya hai jo hum se yaad-e-mazi le ke jaegi jab aa jati hai to do ghunt pi leti hai khun wo bhi gae sab walwale sari umiden ho gain rukhsat bachi hai zindagi baqi to ab main kya karun wo bhi nirali baat duniya-e-dani mein kaun si hoti yahan to didani hai aur mera haal-e-zabun wo bhi musibat zindagi ki kis ke ghar ab sar chhupaegi ajal itni ijazat de ki main leta chalun wo bhi mohabbat ho to ho bhi jae sar-bar chashm-e-pur-fan se abhi se kya kahun 'natiq' fusun ye bhi fusun wo bhi