khud ho ke kuchh khuda se bhi mard-e-khuda na mang rasm-e-dua ye hai ki dua le dua na mang nadan ma-siwa se na kar iltija na mang mange khuda se bhi to khuda ke siwa na mang main apni be-zari ki nadamat ko kya kahun tu aur sharmsar na kar ai gada na mang un ka karam bhi dekh le apna bharam bhi rakh har muddai se mang magar muddaa na mang khugar ho dard ka ki yahi hai ilaj-e-dard ye kis ke bas ka rog hai us ki dawa na mang rasm-e-talab mein kya hai samajh kar utha qadam aa tujh ko hum bataen ki kya mang kya na mang rakkhi hui hai sari khudai tere liye haqdar ban ke samne aa mang ya na mang is khak-dan-e-dahr mein ghutta agar hai dam maqdur ho to aag laga de hawa na mang milti nahin murad to 'natiq' khayal chhod meri salah ye hai ki tu ruth ja na mang