KHirad ki fitna-samani jo pahle thi wo ab bhi hai

khirad ki fitna-samani jo pahle thi wo ab bhi hai
mere dil ki pareshani jo pahle thi wo ab bhi hai

uda din dhajjiyan qanun-e-taziraat ki hum ne
jaraem ki farawani jo pahle thi wo ab bhi hai

gharibon ke gharon mein ek bhi raunaq nahin baqi
bahaar-e-qasr-e-sultani jo pahle thi wo ab bhi hai

nazar aati hain har jaanib nai aabaadiyan lekin
dilon ki khana-virani jo pahle thi wo ab bhi hai

agarche ahl-e-zar tamir ke wade to karte hain
magar takhrib-samani jo pahle thi wo ab bhi hai

tabassum hai labon par ya tabassum ka janaza hai
dilon ki marsiya-khwani jo pahle thi wo ab bhi hai

gharibon ke lahu se qumqume raushan hain mahlon ke
hawas ki zulm-samani jo pahle thi wo ab bhi hai

kahin suba-parasti hai kahin firqa-parasti hai
wahi tafriq-e-insani jo pahle thi wo ab bhi hai

ghulami aaj bhi hai aur aaqai ki surat mein
ada-e-jabr-e-sultani jo pahle thi wo ab bhi hai

hai 'rumi' khush-nawa be-shak ho koi bhi yahan unwan
ada shan-e-ghazal-khwani jo pahle thi wo ab bhi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close