wo phul jo muskura raha hai

wo phul jo muskura raha hai
shayad mera dil jala raha hai

chhup kar koi dekhta hai mujh ko
aankhon mein magar sama raha hai

main chand ke sath chal raha hun
wo meri hansi uda raha hai

shayad kisi daur mein wafa thi
ye daur to bewafa raha hai

sau rang hain zindagi ke lekin
insan fareb kha raha hai

taswir bane to mujh se kaise
har naqsh mujhe mita raha hai

jo lamha payam hai fana ka
chup-chap qarib aa raha hai

tufan ne bhi aankh khol di hai
sahil bhi nazar bacha raha hai

fankar kahun use to kaise
takhliq ko jo mita raha hai

taqdir mita chuki thi jis ko
tadbir ka raaz pa raha hai

aawaz se aag lag rahi hai
mutrib hai ki git ga raha hai

ehsas-e-shikast-o-kaamrani
aaine kai dikha raha hai

wo khak-nashin 'zafar' hai yaro
jo su-e-falak bhi ja raha hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close