khirad ki rah mein har mod par dhoke nikal aae bisat-e-amn par bhi jang ke naqshe nikal aae zaruri hai hum apni zindagi ko aaina rakkhen ye chadar kaun odhega agar dhabbe nikal aae mohabbat ka use iqrar karna hi pada lekin ye sukhe ped se kaise hare patte nikal aae bahut din baad jab main ne khudi ka aaina dekha to khud mere hi chehre se kai chehre nikal aae kabhi haare sipahi ki tarah wapas nahin palte hum aansu ki tarah ek bar jo ghar se nikal aae hatheli par ugana chahte hain khet sarson ke mere bachche to apni umr se aage nikal aae julus-e-amn jab nikla to hum ne 'shauq' ye dekha kahin khanjar nikal aae kahin neze nikal aae