hum ne ai dost rifaqat se bhala kya paya ju-e-be-ab hai tu main shajar-e-be-saya dard jo aql ke israf se bach rahta hai ishq ke qaht-zadon ka hai wahi sarmaya dida-o-dil se guzarta hai koi shakhs aksar jaise aahu-e-ramida ka gurezan saya kal faqat gesu-e-barham the nishan-e-tashwish aaj dekha to unhen aur pareshan paya husn se jab bhi chhida marka-e-dida-o-dil khud mera ishq mere madd-e-muqabil aaya main hun khud apni hi khakistar-e-jaan mein madfun dafn ho jaise kharabe mein koi sarmaya