khirad ko khana-e-dil ka nigah-ban kar diya hum ne ye ghar aabaad hota is ko viran kar diya hum ne chhupoge kya digar rang-e-shabistan kar diya hum ne ki apne ghar ko phunka aur charaghan kar diya hum ne ghute jate the tum mina-e-qalb-e-ahl-e-khalwat mein tumhein jam-e-kaf-e-sahra-nashinan kar diya hum ne anis-e-khwajgan tum the jalis-e-khwajgan tum the magar tum ko nasib kam-nasiban kar diya hum ne harim-e-naz se tum ko chura lane ke mujrim hain ye sahra tha ise bhi ku-e-jaanan kar diya hum ne nazar walo zara chaak-e-gareban dekhte jao ise chaak-e-naqab-e-ru-e-jaanan kar diya hum ne zamin khakistar-e-yak shola-o-yam aab-e-yak-girya yahi wo aab-o-gil hai jis ko insan kar diya hum ne jafa se fitrat-e-asudgan tamir ki tum ne wafa ko qismat-e-ashufta-haalan kar diya hum ne mata-e-husn mahsusat mein arzan hi rah jati giran us ko ba-yak takhail-e-yazdan kar diya hum ne khandar mein mah-e-kaamil ka sanwarna is ko kahte hain tum utre dil mein jab dil ko bayaban kar diya hum ne amanat mangti thi hum se saman-e-nigah-dari tumhin ko shahr-e-khamoshi ka darban kar diya hum ne