khirad mein mubtila hai 'salik' diwana barson se nahin aaya wo mai-khane mein bebakana barson se mayassar jis se aa jati thi saqi ki qadam-bosi muqaddar mein nahin wo laghzish-e-mastana barson se ba-yaad-e-chashm-e-yar ek nara-e-mastana ai saqi ki hao hu se khali hai tera mai-khana barson se tujhe kuchh ishq o ulfat ke siwa bhi yaad hai ai dil sunae ja raha hai ek hi afsana barson se kisi ko to musharraf kar de ai zauq-e-jabin-sai taqaza kar rahe hain kaba o but-khana barson se nai shamen jalao aashiqi ki anjuman walo ki suna hai shabistan-e-dil-e-parwana barson se koi jauhar-shanas aae to jaane qadar 'salik' ki pada hai khak par ye gauhar-e-yak-dana barson se