bosida imaraat ko mismar kiya hai hum logon ne har rah ko hamwar kiya hai yun markazi kirdar mein hum dube hain jaise khud hum ne darame ka ye kirdar kiya hai diwar ki har khisht pe likkhe hain matalib yun shahr ko aaina-e-izhaar kiya hai binai mere shahr mein ek jurm hai lekin har aankh ko rangon ne giraftar kiya hai darpesh abad tak ka safar hai to badan ko kyun bar-kash-e-saya-e-ashjar kiya hai