khirad ne mujh ko ata ki nazar hakimana sikhai ishq ne mujh ko hadis-e-rindana na baada hai na surahi na daur-e-paimana faqat nigah se rangin hai bazm-e-jaanana meri nawa-e-pareshan ko shairi na samajh ki main hun mahram-e-raaz-e-durun-e-mai-khana kali ko dekh ki hai tishna-e-nasim-e-sahar isi mein hai mere dil ka tamam afsana koi batae mujhe ye ghayab hai ki huzur sab aashna hain yahan ek main hun begana farang mein koi din aur bhi thahar jaun mere junun ko sambhaale agar ye virana maqam-e-aql se aasan guzar gaya 'iqbaal' maqam-e-shauq mein khoya gaya wo farzana