tum ho mujrim hum hain mulzim chalo naya insaf karen tum bhi hamein muafi de do hum bhi tumhein muaf karen phir ujli kursi par baithen mulzim ka insaf karen pahle munsif ganga-jal se apni niyyat saf karen jis ne jitne qatl kiye hain un ka wo iqbaal kare main maqtulon se kah dunga ab wo use muaf karen ye bhi marham hai zakhmon ka hakim aur jallad sabhi danga-pidit har basti ka nange pair tawaf karen kuchh zahrile akhbaron ne sab ko mere khilaf kiya un mein himmat ho to mere rab ko mere khilaf karen aane wali naslon ko ye deti rahengi dars-e-wafa nae musawwir taswiron mein mera lahu muzaf karen ik-duje ke aansu le len ik-duje ko khushiyan den pyar ki shama ka ye ujala aao har atraf karen wote na bechen kyun bechaare bas kambal ke badle mein jo sardi mein apni chamdi bistar karen lihaf karen takht-nashinon ke qadmon par bose dene wale ab ek nazar meri qurbani par bhi to ausaf karen baadal farz-shanas nahin hai qaid hai ya zanjiron mein shabnam ke qatre hi pyase 'panchhi' par altaf karen